ek naa paane wali manzil ka safar..

har pehar kya shaam kya shehar; fariyaad karte hain saanson ki dor tootne ka intezaar karte hain..
ban ke faqeer tere ishq mein tumhare hi saji hui duniya mein qayamat ka intezaar karte hain..
uss jhoothe fareb mein lipti hui tumhare vaadon ki khaatir hi sahi par kam se kam ek baar uss taaron se bhare aasmaan ke neeche apni soorat dikha jaana aur dekh jaana ki hum mar kar bhi un taaron ke beech tumhari salaamati tumhari  khushiyon ki khaatir khud ko andheron mein rakhkar tumhare liye roshani se bhare jahaaan ki fariyaad karte hain..intezaar karte hain..chaaro pehar raah takte hain..
\”jao tumhe iss bewafaai ke liye hum maaf karte hain…\”

COPYRIGHT:ABHIMANYU

Leave a comment

Design a site like this with WordPress.com
Get started